July 30, 2013

TAKEN ABACK

“Natalia, this fool is sitting on my nerves, I feel like smashing him.” James said while removing his shoes. He kept his bag aside.

“Hey honey, how was your day?” said Natalia with a sweet smile.

“Hectic, as usual. Anyway, I got your text, tell me what you wanted to say” He settled on sofa grasping a back cushion to relax.

She sat beside him and kept her head on his shoulder.

James suddenly got up from the sofa and screamed “This fool again started. I seriously want to break him into pieces!”

“Relax, honey, he is just two years old.” she tried to calm him down.

“Yeah, but his whine is unbearable. I feel like smashing his mouth. If our neighbors don't know how to manage a kid, why did they give him birth? God, kids are such a pain!”

Natalia got up and said “Hmm, I will set our dinner plates.” and went to the kitchen.

 “I will help you, baby” he realized that he overreacted and so entered the kitchen.He noticed Natalia was standing with her back facing towards him.

 “I'm sorry, sweetheart, I lost my temper.” He gave her a hug from behind and then turned her towards him. He noticed a teardrop in her eyes. “What’s wrong? What happened?” he exclaimed.

“Soon you are going to be a father.” Natalia said and a tear dropped from her eyes.

UMEED




Uss shaintan ki havas ki vajah se 
mein ek kone mein phek di gayi hu,
mombatti ki halki si roshni toh hai, 
par andhere ne uspe bhi kabza kar liya hai,
aankho mein aansu sukh gaye,
badan pe zakham ke nishan reh gaye,
apne he logo se aankh nahi mila paati,
papa ya bhai ke aawaz se bhi hoon darr jati.

Ek din himmat jutai aur socha police se madad loon,
phir socha kaise unpe yakeen karoon,
socha media se madad maangu apne nyay ke liye,
phir khayal aaya ki vo meri madad karenge sirf TRP ke liye, 
samaaj ki nazaro ne mere zindagi ka mazak bana diya,
office ke logo ke khayalo ne mera tamasha bana diya,

Ab bas... 
ab nahi bann na chahti mein kisi ke manoranjan ki vajah, 
na he dungi mein apne aap ko kisi aur ke gunha ki saza,
puri duniya se ladhna nahi chahti hu, 
bas apne aap se nazar milana chahti hu,
roshni ki ye halki jhalak ne ummed jagayi hai,
ye he mere andar ke andhere ko ujjval kar sakti hai,
apni izzat toh kho di, par apne astitva ke liye ladungi,
umeed jo ye jagi hai, ab usse bujhne nahi doongi.

July 18, 2013

FURSAT KE LAMHE


Fursat ke lamho mein kayi khayal dil ko gher lete hai,


kabhi sochu ki khol du uss ke samne apne dil ka raaz,

phir sochu ki kya vo har raah par nibha payega mera saath,

kabhi sochu ki duniya ka har kona dekh lu,

phir sochu ki kya mehanga nahi padhega muje ye ehsaas,

kabhi sochu ki khoob paise kamau,

phir sochu ki kya paise muje vo sukoon denge jo apne alfaz padh kar mein pau,

khayalo ne toh apna dhera daal diya hai,

aur har khayal mein koi na koi jazbaat pesh kar diya hai,

bas mein ye nahi samaj pa rahi, 

ki galti hai inn jazbato ki  jo mere dil mein machal rahe hai,
ya fursaat ke inn lamho ki jo muje sochne pe majbur kar rahe hai..

MORE THAN JUST FRIENDS

Our shoulders rubbed And suddenly that night We became "More than just friends". My fantasies evoked. Our breath mingled, T...