Narazgi bhi hai. Shikve bhi hai.
Aur kayi armaan mann mein he hai.
Tumhara zikra ho
toh yaado ki lehre uthti hai.
Unn lehro mein simmathte hue vo ehsaas aaj bhi anmol hai.
Unn lehro mein simmathte hue vo ehsaas aaj bhi anmol hai.
Tumse nazar milte
he sawalon ka bhavar shuru ho jata hai.
Unn sawalo ka aaj bhi javab nahi milega,
ye soch kar kayi jazbaat bikhar jate hai.
Unn sawalo ka aaj bhi javab nahi milega,
ye soch kar kayi jazbaat bikhar jate hai.
Saath chale the hum
jinn raaho pe,
vaha ki aandhi tanhai ke tarane sunnati hai,
Unn raho pe muskurati hai yaadein,
aur uss pal ashk mera saath dete hai.
vaha ki aandhi tanhai ke tarane sunnati hai,
Unn raho pe muskurati hai yaadein,
aur uss pal ashk mera saath dete hai.
Narazgi bhi hai.
Shikve bhi hai.
Aur bhi kayi armaan mann mein he hai.