uss din se tu karna apne aap pe yakin,
tair kar le na apna lakshya tabhi,
chahe raah lage dhundli,
chahe manzil lage dhundli,
tu aage badhte rehna,
kohre se ladte rehna,
par kohre ke aage manna nahi apni haar,
na peeche le lena apne kadam,
varna zindagi bhar tuje uthana padega shaktiheenta ka gham.
Bas apne aap pe rakh vishvas,
apne mann mein le aa stirta ka ahses,
mat reh kisi pe nirbhar,
har koi hai yaha apne aap mein uljha,
vo kohra jo tuje rok raha hai, usse na darr,
ladhte reh jab tak vo haar na maan le,
dheere dheere sab kuch nazar aane lagega,
raah bicha denge tere liye phool,
aur manzil karegi apni bhaye bichaye tera swagat,
Uss din hogi tuje tere astitva ki pehchaan.
No comments:
Post a Comment